Sunday, February 24, 2013

Apne honthon par sajana chahta hoon


Apne honthon par sajana chahta hoon

Apne honthon par sajana chahta hoon..
aa tujhe mein gungunana chahta hoon..
koi aansoo tere daman par gira kar..
boondh ko moti banana chahta hoon..

Thakk gaya mein karte karte yaad tujhko..
Abh tujhe mein yaad aana chahta hoon…
Jo bana Baayes meri nakamiyon ka
Mein usi ke kaam ana chahta hoon
Chah raha hai sari basti per andhera
Roshni ko ghar jalana chahta hoon
Phool se paiker to nikle be-murawat
Mein pathron ko azmaana chahta hoon
Reh gayi thi kuch kami ruswayiyon mein
Phir kateel us dar pe jana chahta hoon
Aakhiri hichhki tere zaano’ pey aaye..
Maut bhi mein shayaraana chahta hoon..

No comments:

Post a Comment